NotReady Garmi Me Loo aur Lapat Se Kaise Bache - Loo Lapat Se Khud Ko Kaise Bachaye

Loo Se Kaise Bache - Lapat Se Kaise Bache

Aaj ke iss article mein aap loo aur lapat se bachne ke tariko ke bare mein janenge. Dosto saal dar saal jaise jaise Earth ka temparature badta ja raha waise waise garmi bhi badti ja rahi hai. Garmiyo ke mausam mein padne wali garmi ab hadd se jyada padne lagi hai aur kabhi kabhi ye bardasht se bahar ho jati hai aur isse insaan bimar tak pad jata hai.
Garmiyo ke mausam mein bhari dophari mein chalne wali garm hawaye loo ya lapat kahalaati hai. Ye loo agar kisi insaan ke sharir ke andar chali jati hai toh woh insaan bimar pad jata hai. Aapne aksar kisi vyakti se suna hoga ki use loo lag gayi hai. Kabhi kabhi ye loo insaan ko bahut bimar kar deti hai aur insaan ki jaan tak le leti hai. Aise mein jarurat hai ki loo se bachne ke gharelu tarike apnaye jaye aur humesha loo se bachne ke liye ready rahe. Chaliye jane loo se kaise bache aur lapat se kaise bache jankari hindi me.


Loo Se Bachne Ke Liye Kya Kare aur Kya Na Kare

1. Paryapt matra mein paani piye. Taral padarth jaise Chhaachh, Nimboo Ka Paani, Aam Ka Pana ka upyog kare.
2. Yatra karte samay apne saath taja / thanda paani jarur rakhe aur thodi-thodi der mein paani pite rahe.
3. Sharir mein paani ki kami ya dast hone par O.R.S ghol ka upyog kare.
4. Santulit, halka aur niyamit bhojan kare.
5. Mausami fal khaye aur unka juice piye.
6. Adhik protein wale aur basa khana khane se bache.

1. Halke rang ke suti aur dhile kapade pahane. Dhoop mein jane se pehle apne sir ko puri tarah se dhak le sirf aankhen khuli rahe aur ho sake toh aankhon par singlass lagaye.
2. Dophar ke samay ghar se nikalne se bache. 12 baje se 4 baje ke bich kam se kam bahar kadi dhoop mein jaye.
3. Garmi jyada hone par kadi mehanat na kare. Jyada kaam na kare aur dimak ko thoda aaram de.
4. Paltu janwaro ko chhaya mein bandhe aur paryapt paani pilaye.
5. Chhote bachchon aur paltu janwaro ko kabhi bhi band gadi (Four Wheeler) mein akela na chhode kyoki garmi ke karna unki jaan ko khatra ho sakta hai.
6. Suraj ke tapman se bachne ke liye ghar ke nichali manjil par he rahe.
7. Jahan tak sambhav ho garmi ke mausam mein ghar par he rahe aur suraj ki kiranon aur dhoop se bache.
8. Mausam ke prati satark rahe kyoki badalte mausam se he kai tarah ki bimari hoti hai.

Loo Se Bachne Ke Gharelu Upay Hindi Me

1, Jis insaan ko loo aur lapat lag gayi ho us vyakti ko chhaya mein litakar suti geele kapade se uske hath, pair aur muh pochhe. Taaje paani se nahala bhi sakte hai aur achhe se doctor ko dikhaye.
2.  Bakari (Goat) ke doodh ki hath aur pairo ke talawo par malish kare isse loo aur lapat ka asar jaldi khatm hota hai.
3. Bimar vyakti ya pragnant lady ko adhik sawdhani baratani chahiye aur doctor se milkar he ilaj karana chahiye.
4.  Agar aapke ghar mein ya mohalle mein garmiyon ke dino mein aksar log loo aur lapat se bimar pad jaate hai toh aapko unke prathmik upchar ke liye Prathamik Prashikshan lena chahiye.

Loo aur Lapat Ke Lakshan
1. Garmi mein jyada kaam karne ya phir dhoop mein jyada nikalne se aksar kamjori mehsus hona aur chakkar aana.
2. Sir dard karna, Ulti hona aur tej pasina aana.
3.Sharir mein jhataka jaisa mehsus hona.
4. Sharir mein paani ki kami.


Dosto ye the kuch best tarike jinki madad se aap loo se apna bachav kar sakte hai. Agar aapko ye jankari achhi lagi hai toh apne friends, family aur facebook whatsapp par share karna na bhule taaki isse kisi aur ki bhi help ho sake. Sharing karna bahut chhota kaam hai aur isse agar kisi ki madad ho jati hai toh bahut bada kaaam hai isliye share jarur kare. 
Previous
Next Post »