Yoga Karne Ke Fayde - योग करने के फायदे - Benefits of Yoga in Hindi

Article For Yoga Karne Ke Fayde Hindi Me Aur Yoga Tips in Hindi Or Exercise Karne Ke Fayde Hindi Me Ya Yoga Karne Ke Tips in Hindi. Dosto nishchit he agar aap yoga karte hai toh aapko yoge ke faydo ke baare mein achhe se pata hoga lekin agar aap yoga ke fayde nahi jante hai toh aaj aapko ye article jarur padna chahiye aur aaj se he yoga karna start kar dena chahiye. Chaliye jane yoga karne ke fayde in hindi aur exercise karne ke fayde  ya benefits of yoga in hindi.

Yoga Bharat ki ek prachin sanskriti aur jeene ki paddhati hai jiski wajah se Bharat sadiyon tak Vishw Guru raha hai. Yoga bharat ki he den hai. Aap keh sakte hai ki yoga ka janm uss samay hua tha jab medical science ka janm nahi hua tha. Aur aaj bhi yoga se unn bimariyo ko door aur khatm kiya ja raha hai jise medical science abhi tak nahi kar paa rahi hai. Aap pad rahe hai yoga karne ke fayde hindi me, exercise karne ke fayde, benefits of yoga in hindi aur yoga se weight kaise kam kare jankari hindi me.

Yoga ke baare mein aaj se kuch saal pehle bahut kam log he jante the lekin Swami Ramdev ne ise Prachin Kitabo se nikaal kar Bharat ke aam logon tak pahunchaya. Aur Pradhan Mantri Shri Narendra Modi ji ne ise International Stage tak Pahunchaya aur aaj ke samay mein 21 June ko International Yoga Day manaya jata hai jise 177 se bhi jyada Desho ka samarthan mila hai.

Dosto yaga mein kai tarah ke aasan hai jinme se kuch ka toh aaj tak pata nahi chal paaya hai. Jo yoga aasan popular hai hum kewal unke baare mein he jante hai aur har ek yoga aasan ke alag-alag fayde hote hai. Aur aaj hum aapko yoga ke lagbhag sabhi unn faydo ke baare mein batayenge jo humare liye jaruri hai. Chaliye jante hai yoga karne ke fayde hindi me aur benefits of yoga in hindi.

Yoga Karne Ke Fayde - Benefits of Yoga in Hindi

1. Yoga se Sharirik, Mansik aur Aadhyatmik laabh milta hai jise medical science ne bhi maana hai. Aur yoga aaj ke samay mein logon ke liye ek vardaan hai.

2. Yoga se humare sharir ko ek aisi Sakaratmak Urja (positive energy) milti hai jo humesha tan aur maan ko subah se shaam tak fresh rakhati hai aur jisse hume bilkul bhi thakaan mehsus nahi hoti hai.

3. Jahan Gym aur Exercise se kewal kuch khas fayde hote hai wahi Yoga se pure sharir(Andar aur bahar) ke ango ko fayda milta hai. Sharir ke sabhi ang kaafi umra hone ke baad bhi Sucharu Roop se kaam karte rehate hai.

4. Yoga se sharir ko Rogon se ladne mein madad milti hai aur Pratirodhak Kshamata badhati hai.

5. Yoga karne se Skin jawan bani rehati hai aur skin chamakati (glow) bhi hai. Budhape mein bhi jawan bane reh sakte hai aur yoga se Sharir Swasth or Nirogi bana rehata hai.

6. Yoga karne se jahan manspeshiyan majboot hoti hai jisse kamjor vyaki bhi balbaan ban jaata hai wahin dusari tarah daily yoga karne se sharir ki charbhi yaani motape ko kam bhi kiya ja sakta hai.

7. Rajana yoga aasan karne se Tanav (Tension) dur hoti hai aur wahin achhi nind bhi aati hai jisse aapka aane wala din puri tarah se achha gujarata hai.

8. Yoga se Bhukh lagne lagti hai aur jab aap paryapt khana khayenge toh usse aapka sharir bhi banega aur ek achhi personality develope hogi.

9. Pranayam Karne Ke Fayde: Yoga ka ang Pranayam bhi sharir ke liye kaafi laabhdayak hota hai. Pranayam se saans sambandhi bimari dur ho jaati hai. Isse Dama, Elergy, Synocitis, Jukam jaisi bimariyo mein bahut fyada milta hai. Humare Fefade swasth rehate hai aur sharir ko paryapt matra mein oxygen milti hai jiska positive asar pure sharir par dekhane ko milta hai.

10. Dhyaan Lagane Ke Fayde: Dhyaan Yoga ka he ek bahut important ang hai jo sharir ke liye bahut faydemand hota hai. Dhyaan lagane se Yaddaasht badti hai aur Tanav bhi kam hota hai. Dhyaan se mansik tanav dur hota hai aur Aatmik Shanti bhi milti hai. Kaam karne ki kshamata badti hai, mann ki ekaagrata aur dharanaa shakti bhi badti hai.
Dhyaan yaani meditation ka prachar humare desh se bhi jyada videshon mein ho raha hai. Aaj kal ki bhag-daud bhari jindagi mein kaam ka dabav aur rishon mein an-ban ke karan Tanav kaafi badh gaya hai jisse kam karne ke liye Dhyaan kaafi madadgaar saabhit hua hai.

11. Yoga-Aasano se lambai badhayi ja sakti hai aur Aankhon ki Roshani bhi tej ki ja sakti hai. Daily yoga karne se Aankhon par se Chashma bhi hataya ja sakta hai.

12. Yoga karne se Blood Sugar Label kam hone lagta hai aur lagatar yoga karne se ye control bhi kiya ja sakta hai. Dibeties Ke Rogiyo (Patient) ke liye yoga bahut faydemand hota hai.

13. Kaafi research se saabhit hua hai ki yoga aur meditation se Arthritis (Ghutne Ka Dard, Jodon Ka Dard aur kai tarah ke Dard), Back Pain aur Sharir ke vibhinn dardon mein sudhar hua hai. Saath he dawai ki jarurat bhi kam hoti jati hai.

14. Yoga karne se Blood Circulation thik bana rehata hai jisse Blood Pressure High aur Low nahi hota hai.

15. Yoga se hum apne Baalon ko kala rakh sakte hai. Aur Dosto ab mai aapse yahin kahunga ki Daily 15-20 Minutes yoga krke aap apne pure sharir ko healthy rakh sakte hai.

Agar short mein kahe toh Yoga sirf sharirik vyayam aur sharir ko healthy rakhane ke liye nahi hai balki jeewan jeene ki ek best paddhati hai. Yaani yoga jeewan jeene ki kala hai jisse jeewan ka pura aanand liya ja sakta hai.

Note: Dosto ye article future mein update hota rahega aur aapko hum ye jankari bhi denge ki kis yoga-aasan se kon si bimari samapt hoti hai. Kis yoga-aasan ke kya fayde hai ? Hum aapko batayenge.

Tags: Yoga karne ke fayde, yoga se sharir kaise thik kare, yoga ke fayde hindi me, yoga se vajan kaise kam kare, benefits of yoga in hindi, yoga karne ka sahi tarika hindi me.

http://kyakyukaise.com/yoga-kaise-kare-sahi-tarika-health-tips-in-hindi/
http://sikhe.in/yoga-kaise-kare/
http://www.achhikhabar.com/2015/06/19/benefits-of-yoga-in-hindi-yog-ke-fayde/
Previous
Next Post »