Anulom Vilom Pranayam Kaise Kare Aur Uske Fayde Aur Anulom Vilom Karne Ka Tarika Hindi Me. aaj ke article mein janenge ki anulom vilom pranayam kaise karte hai sahi tarah se. Waise toh pranayam ke baare mein bahut log jante hai aur iss yog ko karte bhi hai lekin unhe iska sahi tarika nahi pata hota hai jiski wajah se iska unko fayda nahi hota hai aur saath he iske ulte result milte hai. Agar aap bhi iss yoga ko karna chahate hai aur iska laabh uthana chahate hai toh pade anullom vilom pranayam kaise kare aur anulom vilom pranayam karne ke fayde in hindi.
Anulom Vilom Pranayam ko "Naadi Shodhak Pranayam" bhi kaha jata hai. Anulom Vilom Pranayam me saans lene aur saans chodane ki vidhi ko baar-baar repeat kiya jata hai. Ise humesha kisi Aasan (mat ya chadare) par baith kar karna chahiye. Daily anulom vilom karne se sharir ki sabhi Naadiyan swasth aur nirog rahati hai. Iss yoga aasan ko har umra ke log kar sakte hai. Pranayam ka matlab hota hai ki Hawa aur Saana ka yoga. Chaliye ab jante hai ki anulom vilom pranayam kaise kare aur anulom vilom pranayam kaise karte hai jankari hindi me.
Anulom Vilom Pranayam Kaise Kare - Anulom Vilom Pranayam Kaise Karte Hai
Sabse pehel kisi Aasan (Dari ya Kambal ya Chadara) ko bichhakar uss par Padmaasan, Siddhaasan, Swastikaasan ya Sukhaasan (Jaise Ichha Ho ya Jisme Aapko Aaram Mile.) mein baith jaye. Agar aapko kisi tarah ki dikkat hai toh jaise aap thik baith sakte hai waise baith jaye.
Ab apne daahine hath ke anguthe se apni naak ke daahine chhed ko band kar le aur naak ke baaye chhed se saans andar ki taraf le aur phir baayin naak ko anguthe ke pass wali do anguliyo se band kar de. Uske baad daahini naak ke anguthe ko hata de aur saans dhire-dhire bahar chhode.
Iske baad daayin naak se saans andar le aur daayin naak ko band karke baayin naak ko khol kar saans ko 7-8 ki ginati mein bahar nikale.
Iss kriya ko shuruaat mein 3 Minutes tak kare phir baad mein dhire-dhire ise 10 Minutes tak kare.
8-10 Minutes se jyada iss aasan ko nahi karna chahiye. Iss aasan ko humesha khuli jagah aur subah ke samay karna chahiye.
Anulom Vilom Pranayam Karne Ke Fayde Aur Laabh
1. Sabse bada fayda iska ye hai ki jo insaan regular anulom vilom pranayam karta hai use saans se judi bimari nahi hoti hai. Aur uske Fefade shaktishaali ban jate hai jisse uski Umra badh jati hai.
2. Iss aasan ko karne se sharir mein Baat, Kaf aur Pitt jaisi bimari dur ho jati hai.
3. Agar Old-Age yaani Bade-Bude log iss yoga ko kate hai toh Dathiya, Jodon Ka Dard aur Sujan jaisi bimari dur ho jaati hai.
4. Pranayam yoga-aasan se Naadiyan shuddha hoti hai jisse sharir Swachha, Kantimay aur Shaktishali banta hai.
5. Isse rojana karne se Heart bhi majboot hota hai. Aur Heart se related bimariyaan dur hoti hai.
6. Anulom Vilom Pranayam ke dauran jab hum Lambi aur Gahari Saans lete hai toh Fresh aur Saaf Hawa humare Rakt (Blood) se Dushit Tatwo ko nikalkar sharir ke Angon ko poshan deti hai.
7. Sardi ,Jukam aur Dama jaisi bimariyan dur hoti hai.
8 Blood Pressor sahi rehata hai aur Anidra jaisi bimari dur hoti hai. Agar aapki Ismaran Shakti yaani Yaad karne ki chhamata kam hai toh iss aasan se aapko kaafi labh milega..
Anulom Vilom Pranayam ko har Umra (Age) ke log kar sakte hai aur isse regular karne se iske results bahut jaldi dekhane ko milenge. Iske liye aap ek fix time rakhe. Iske achhe results ke liye Subah ka samay karna achha hoga.
SawDhaniyan : Agar aap kisi bimari jaise Animiya ya Saans se related etc. se pidit hai toh aapko iss yoga aasan ko kisi expert ki raay lene ke baad he karna chahiye. Aur iss anulom vilom pranayam ko jaldi karne ki koshish na kare isse aaram se karna chahiye. Pranayam mein saans iss tarah se lena chahiye ki uski aawaj aap ko bhi na sunayi de. Iss yoga-aasan ko aisi jagah na kare jahan bahut jyada Pradushan aur Gandagi ho.

Aur Jyada jankari ke liye aap YouTube Par Yog Guru Baba Ramdev Ji Ke Yoga ke Videos dekhe jisse aapko aur jankari mil jayegi.
Note: Kisi bhi yoga ko karne se pehle Expert ki raay jarur le. Kisi bhi Visham Parishthiti mein iske Dushparinaam ke liye Website aur Website Owner ki koi Jimmedari nahi hogi.
http://www.onlymyhealth.com/anulom-vilom-pranayam-in-hindi-1330674804
http://www.nirogikaya.com/2016/05/anulom-vilom-benefits-steps-hindi.html
ConversionConversion EmoticonEmoticon