Kapalbhati Kaise Kare Aur Uske Fayde - Kapalbhati Karne Ka Tarika Hindi Me

Kapalbhati Kaise Kare Aur Kapalbhati Karne Ke Fayde Or Kapalbhari Karne Ka Tarika Hindi Me. Ye ek yoga exercise hai jiske kai labh hai aur agar aapko kapalbhati karna nahi aata hai toh aaj ke article mein aap aasani se kuch steps mein kapalbhati karne ki sahi vidhi ko jan sakte hai. Agar koi bhi yoga galat tarike se kiya jaye toh uske dushparinaam bhi ho sakte hai isliye yoga ya exercise ko humesha sahi tarike se karna chahiye. Chaliye jane kapalbhati kaise kare aur kapalbhari karne ka tarika hindi in hindi.

Prachin kaal se chala aa raha Prayanaam Yoga Saans se judi bimariyo mein aur sharir ke liye labh-dayak raha hai. Iske laabh aaj bhi nlog lete hai. Aisa he saans se juda Yoga hai Kapalbhati jo sharir ki urja ko badhata hai aur isse positive energy milti hai. Yahan "Kapal" ka matlab hai "Matha" jo sir ke baalo aur naak ke bich mein aata hai aur "Bhati"ka matlab hai Roshan karna yaani Glow lana; chamak lana. Ab sidhe topic par chalte hai kapalbhati kaise kare aur uske fayde ya kapabhati karne ka tarika hindi me.

Kapalbhati ka main kaam hota hai sharir mein Fresh Hawa ka prawah banana jisse Fefade aur Blood clean hota hai. Iss yoga mein saans andar lena normal tarike se hota hai aur saans chodana forcefully hota hai. Ise karne ke liye ek aasan par baithana chahiye. Iss yoga ko humesha khali pet karna chahiye aur agar khana kha liya hai toh 2-3 ghante baad he karna chahiye. Ise khule jagah par aur subah ke samay karna chahiye. Iss yoga exercise ko har umra (age) ke log kar sakte hai aur iske koi negative results nahi hote hai lekin aapse yahan kahana chahunga ki ise shuruaat mein Expert ki raay lekar he kare.

Kapalbhati Kaise Kare - Kapalbhati Karne Ka Tarika Hindi Me

Sabse pehle kisi Aasan (Mat ya Koi Chadara) par Padmaasan mein baith jaye. Aur Reedh ki haddi ko ek dum sidha rakhe. Ab apni body ko relaxe feel karaye. Agar aapko baithane mein kisi tarah ki taklif hai toh jaise marjo ho baith jaye.

Ab daaye ghutane par daya hath aur baaye ghutane par baya haath rakhe. Ab aapko saans lena hai. Saans aap jaise normally lete hai waise le kuch der tak. 

Jab saans lena aur saans chodane ka ek niyam ban jaye tab aapko Forcefully apni saans chhodani hai aur saath he teji se saans leni hai. Dhyaan dene wali baat ye hai ki saans iss tarah se leni hai ki aapke sharir mein kaafi matra mein air pahuncha jaye aur saans iss tarah se chhodani hai ki fefado se puri air bahar nikal jaye.

Ab thodi der tak saans le aur phir saans chhode. Iss tarah se kuch der tak karte rahe uske baad 2-3 minute ka rest le.Rest karne ke baad Phir se saans le aur chhode.

Achhi sehat aur aapko future mein saans ki koi problem na ho toh ise kam se kam 8-15 minutes daily karna chahiye.

Achha hoga ki ise aap Morning ke time karo kyoki subah ke samay hawa Fresh hoti hai jo sharir ke liye labhdayak hoti hai. Agar kisi wajah se aap subah nahi kar paate hai toh aap sham (Evening) ke time ise kar sakte hai.


Kapalbhati Karne Ke Fayde - Kapalbhati Karne Se Laabh

Sabse best fayda ye hai ki isse Fefade thik rehate jo aapko lambi aayu pradan karte hai.

Kapalbhati karne se aapka pet kam hoti hai yaani pet ki charbi hat jati hai. Jisse pet ek dum fit rehata hai aur koi bimari nahi hoti hai.

Oxygen ki supply achhi matra mein hoti hai jisse khoon jyada se jyada saaf (Filter) hota hai.

Kapalbhati skarne se aapka Face Grow karne lagega aur Aapki umra kam lagne lagegi kyoki aap jawan lagne lagenge. 

Aur Jyada jankari ke liye aap YouTube Par Yog Guru Baba Ramdev Ji Ke Yoga ke Videos dekhe jisse aapko aur jankari mil jayegi.

Note: Kisi bhi yoga ko karne se pehle Expert ki raay jarur le. Kisi bhi Visham Parishthiti mein iske Dushparinaam ke liye Website aur Website Owner ki koi Jimmedari nahi hogi.
Previous
Next Post »