Website Kaise Banaye - Website Banane Ka Tarika Hindi

Website Kaise Banaye Aur Website Banane Ka Tarika Hindi Me. Dosto ye article unn logon ke liye hai jo internet par apni khud ki pehchan banana chahate hai apni website banakar. Aaj mai aapko aisa tarika batane ja raha hu jiski madad se aap khud apni website bana sakte hai aur iske liye aapko ek bhi paise nahi invest karne padenge. Isliye dhyaan se poori post ko pade aur jane free website kaise banaye mobile se ya website banane ka tarika hindi me aur website se paise kaise kamaye or mujhe apni website banani hai in hindi.

Aksar log kehate hai ki popularity tab hoti hai jab log facebook par nahi google par search karte hai. Isi status ki wajah se aaj har koi apna naam internet par popular karna chahata hai. Naam popular karne ke liye jarurat hoti hai ki uski khud ki ek site ho jo uske naam se ho aur uske baare mein ho. Agar aap bhi aisa chahate hai toh jane free website kaise banaye, mujhe apni website banani hai, new site banana hai, website banane ka tarika hindi me, website kaise banaye mobile se, website se paise kaise kamaye in hindi.

Aapko yahan btana chahunga ki website banane ke liye paise lagte hai lekin ek tarika hai jisse aap apni khud ki website bilkul free bana sakte hai aur apna naam internet par popular kar sakte hai. Chaliye jante hai free website kaise banaye.

Website Kaise Banaye - Website Banane Ka Tarika

Sabse pehle aapko www.weebly.com par jana hoga.
Ab Start/SignUp par Click Karna hoga.
Image 1
1. Apna Naam daale.
2. Apni Email ID daale. 
3. Apna Khud ka Naya Password aale. (Ise Kisi Page Par Note Kar Le)
4. Sign Up par Click kar de.

Ab ek new page khulega usme aapse Theme/Template yaani Site Ka Look kaisa ho, Select karne ke liye kaha jayega.

Image 2
1. Maine yahan Personal Category ko Select kiya.
2. Apni Theme Select kare.

Image 3
Ek naya page open hoga aur usme Start Editing par Click kare.

Iske baad phir se ke new editor page khulega jis par aap apni website ka look bilkul easy tarah se customize kar sakte ho. Yahan aapko kisi bhi tarah ki Coding karne ki koi jarurat nahi hai. Bas aapko jahan bhi editing karni hai uss jagah Click kare aur use edit kar de. Yahan Drag-Drop option hote hai jiski madad se aap ek simple editor ki tarah site ko edit kar sakte hai.

Image 5
1. Yahan se aap Pages (About Us, Contact Us etc.) ko bhi edit kar sakte hai.
2. Iss  jagah aap apni Website ka Naam daal sakte hai. Aap yahan Image Wale Logo bhi laga sakte hai.
3. Yahan se aapko page par jo bhi lagana hai use utha kar page ki uss jagah par le jakar chhod de aur turant wahan uska option aa jayega phir use apne hisab se edit kar le. (Drag-Drop Options)

Image 6
Ab agar aapne apni Site ko sahi se edit kar liya hai toh Publish Button par Click kare
Ab ek Pop-Up Window khulegi.

Image 7
1. Agar aap free website banana chahate hai toh First Wale Option ko Select kare aur apni Website Ka Naam daale.
2. Agar aap Domain Name kharidana chahate hai toh ye option Select kare.
3. Agar aapke pass koi Registered Domain hai toh Third Option ko Select kare.
4. Ab Continue par Click kare. 
Phir se ek pop-up page open hoga.

Image 8
1. Robot Wale option ko Tick kare. (Note: yahan par Chapta bhi aa sakte hai yaani image ko select karna hoga jo dikhayi gayi hai.)
2. OK Publish My Site par Click kare.

Congratulations ! Ab aapki site Ready hai aur ye raha uss site ka URL.

Dosto kaisi lagi aapko humari ye post free website kaise banaye aur website banane ka tarika hindi me. Kuch log ye soch rahe honge ki isse paise kaise kamaye jate hai toh unko bata du ki iss site par Kcu Ads Company Ke Ads Lagakar Aap Paise Bhi Kama Sakte Hai. Jiski jankari hum aapko aage detail mein batayenge tab aap ise apne friend-circle mein share karte rahiye.

Previous
Next Post »

5 comments

Click here for comments