Facebook Par Likes Kaise Badhaye - Facebook Post Par Jyada Likes Kaise Laye

Facebook Par Likes Kaise Badhaye Aur Facebook Post Par Jyada Likes Kaise Laye Jankari Hindi Me. Aaj aap janenge ki facebook status pictures photos video par jyada se jyada likes kaise laate hai. India mein bhi jyada tar log ab facebook use karte hai aur unme se jyada tar log chahate hai ki unke facebook post par bahut saare likes aur comments aaye jisse unki facebook par popularity badh jaye. Agar aap bhi facebook status profile picture par jyada likes chahate hai toh pade humara ye article facebook par likes kaise badhaye aur facebook post par jyada likes kaise laye in hindi.

Apni Profile Ko Attractive banaye
Sabse pehli apni profile ka look attractive banaye. Yaani apni profile par apni achhi si picture lagaye aur Apne mann pasand facebook cover lagaye. Facebook profile mein city, education ke baare mein aur apne baare mein short mein jarur likhe. Jab aapki profile puri set hogi toh like aur comment karne wala isse impress hota hai aur aapko ek achhi najar se dekhata hai saath he aapko facebook master bhi samajhata hai jisse woh aapki har post apr like aur comment kar deta hai.

Audience Me Public Set Kare
Facebook par jyada likes na aane ka ek bada reason ye bhi hai privacy ka option ! jisme log Only Me, Friends, Friends of Fariends set karte hai. Iss karan unki kisi bhi post par jyada likes aur comments nahi aa pate hai. Isliye Facebook Settings mein jakar Public ko enable kare. Aur har post ko publically post kare jisse aapki post par har koi like aur comment kar payega.
(Note: Ye option apni marji aur soch samajh kar enable kare, aisa karne par aapki har post har koi insaan dekh payega jo facebook chalata hai.)

Image Ke Saath Kuch Caption Bhi Jarur Likhe
Kabhi-Kabhi kua hota hai ki hum apni ya kisi aur picture ko fb par daalte hai lekin uss par jyada like aur comment nahi aate hai. Iska ek reason ye bhi hai ki log aapse uss image ke baare mein bhi janna chahate hai isliye jyada likes aur comments pane ke liye image ke saath kuch Caption bhi daale. Caption yaani image Description jaise aapne apne friend ke saath selfie daali hai hai toh Caption mein likh de "selfie with Bro... , Selfie with Friend etc.

Status Post Karte Waqt Special Charactors Aur Hashtag Ka Use Kare
Aapne dekha hoga apne kisi friend ke status ko jisme usne special charactors ya funny smileys ka use kiye hoga, Uske status par kaafi saare likes aur comments honge. Aisa isliye kyoki ye sab karne se status effectd ban jata hai aur har koi use padta hai aur like thokta hai.
Rahi baat Hashtag ki toh Status jis baare mein ho ussi baare mein koi chhota sa word select kare aur uske aage "#" laga de jaise #UniqueSelfie #Me&MahBro etc. Hashtag lagane se status kaafi effected ban jata hai isliye aap iska use karna start kar de.

Apni Post Me Jyada Se Jyada Logon Ko Tag Kare
Apni post mein jyada se jyada logon ko tag kare isse aapki post unke friends tak pahunchegi jisko aapne tag kiya hai. Lekin facebook ki policy ke according aap kuch best logon ko he tag kare nahi toh aapka fb account band ho jayega.

Logon Ki Post Jyada Se Jyada Like Aur Comment Kare
Jyada se jyada logon ki post like kare badle mein woh bhi aapki post like karenge aisa mera aur kaafi logon ka manna hai...jaan pahchan badhane ke liye Comment bhi kare.

Regular Post Update Karte Rahe
Agar aap regular post nahi karte hai toh logon par iska negative effect padta hai jiss karan aapki post par like aana kam ho jate hai. Agar aapki kisi post par ek din mein 100+ likes aate hai, aur dusare din bhi aap post karte hai toh bhi 100+ likes aate hai iska matlab aapki post ka ye ratio ban gaya hai aur agar aap regular post karenge toh kisi event ya special post par aapko bahut saare likes mil jayenge. Agar regulat post nahi karte hai toh ye ratio down ho jayega aur aapko 50-60 likes he mil paya karenge. Achha hoga agar aap din mein ek image aur ek status daily post karte rahe.

Post Ka Time Dhyaan Rakhe
Humesha post ko update karte time ye dhyaan rakhe ki aap kis time post kar rahe hai aur log aapke friends kis samay jyada active rehate hai. Aksar log subah 10 baje se raat 9 baje tak facebook par online rehate hai isliye isi time aap kuch bhi post kare.

Toh Dosto iss tarike se aap bhi apne facebook status, facebook images aur videos par jyada se jyada Likes and Comments la sakte hai. Waise facebook par jyada likes laane ka koi special fayda nahi hai lekin logon ko aisa lagta hai ki jyada likes aur comments se woh FB par popular ho gaye hai.

Agar aapko ye article "facebook par likes kaise badhaye aur facebook post par jyada likes kaise laye hindi me" achhi lagi hai toh ise apne friends ke saath bhi Share kare jisse woh bhi apne facebook profile par jyada se jyada likes la sake.
Agar aapka koi sawaal hai toh please Comment kare. Humari team aapki iss topic par puri madad karegi.
Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
May 16, 2018 at 10:39 AM ×

Film casting is sometimes complex because it becomes difficult to choose between different actors. It is always suggested that you note down the good and bad things about the actors that you have called for screen tests.  Buy Facebook Page Likes

Congrats bro Muhammad Hassan you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar